Tuesday, February 12, 2008

hamra kamra & hum

hamra kamra.......2 khidkiya.....teen ladkiya .......yahi nahi aur bhi bahut kuch hain.....ek ganda sa computer...ek madhur sangeet dene wala radio.......ek bekar cooler jo aab saman rakhne ka kam karta hain........ye kamra jisko hum abhi room no-15 ke nam se pookarte hain delhi ke ek atyand hi mahtvpooran ilake mein ek vridhaashram mein bana hua hain.....iss ashram ki pehli manjil par ye kamra baki kamro ki tarah bargad ke ped ko niharata rehta hain jo ki iss hostel ke andar hi hain.....
iss kamre mein ke 2 insan bahut pagal aur ek insan kuch samjhdar hain....mujhe chodke baki do nam gopniya hi rakhna chaungi.......kamre ka mahaul hamesha sangeetmay bana rehta hain.....tez radio and masti......yahi bus..................iss kamre ki ek deevar par john abraham ka ek poster(joki utarte hue aab girne hi wala hain) laga hain aur uske theek dayi taraf wali baju mein ganesha ji ka poster(abhi naya naya stahpit hua hain).......kamre mein ek guitar bhi hain.....jo shayd hi kabi baja ho......lekin saja hua hain.....kamre ki halat bahut hi kharab rehti hain.....ek ganda sa kandil bhi laga hain.....jisme ek mari hui makdi latki hain......kamre mein 2 bed ek sath aur teesara bed alag hain....teesare bed pe aapko geeta(holi buk),toothpaste,toothbrush,hanuman ji ki murti,hanuman chalisa....lenses....phone...aadi aadui cheeze jo table pe honi chaiye milengi.........
chaliye bus itta hi likhti hu nahi to padhne wale bore ho jayenge....

मंजील की तलाश

सोचा कभी यू ही .....
चल देते हैं दो कदम ...
रुक कर जरा देखा ....
वही खड़े थे हम ....
लगता तो था बढ़ चले ...
दुनिया के साथ हम ....
पर रह गए यू ही ...
खुद की राह में ये कदम ......